Shabnam Shakeel

ab mujhko ruKHsat hona hai kuchh mera haar-singhaar karo

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
ab mujh ko ruḳhsat honā hai kuchh merā hār-siñghār karo
kyuuñ der lagātī ho sakhiyo jaldī se mujhe tayyār karo
ro ro kar āñkheñ laal huiiñ tum kyuuñ sakhiyo behāl huiiñ
ab Dolī uThne vaalī hai lo aao mujh ko pyaar karo
ye kaisā anokhā joḌā hai jo aaj mujhe pahnāyā hai
maiñ hūroñ jaisī dulhan banī ab uTTho aur dīdār karo
ik haar hai surḳh gulāboñ kā ik chādar surḳh gulāboñ kī
aur kitnā ruup chaḌhā mujh par is baat kā to iqrār karo
ik baar yahāñ se jā.ūñgī maiñ lauT ke phir kab ā.ūñgī
tum āh-o-zārī laakh karo tum minnat sau sau baar karo
haañ yaad aayā is bastī meñ kuchh diye jalā.e the maiñ ne
tum un ko bujhne mat denā bas ye va.ada ik baar karo
Top Urdushayar.com