Shabnam Shakeel

sab toD ke bandhan duniya ke main pyar ki jot jagaungi

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
sab toḌ ke bandhan duniyā ke maiñ pyaar kī jot jagā.ūñgī
ab māyā-jāl se niklūñgī aur joganiyā kahlā.ūñgī
tū ne to prem kī kuTiyā ko pal-bhar meñ jalā kar raakh kiyā
ab merī chitā tayyār karo maiñ saath satī ho jā.ūñgī
ye duniyā lobhan naarī hai hañs hañs kar sab se kahtī hai
tum sone ke ban kar aao maiñ jai-mālā pahnā.ūñgī
tum man dhan prem ke mandir par maiñ vaar ke bāhar baiThī huuñ
ik saañs kī duurī aTkī hai ab is kī bheñT chaḌhā.ūñgī
ye mailī oḌhnī oḌhūñgī vo aa.egā to dho lūñgī
vo khele dhan meñ daulat meñ ab maiñ us dvaar na jā.ūñgī
ik mūrakh se byopārī ne bin-mol mirā man bech diyā
maiñ nagrī nagrī ghūmūñgī aur prem kā mol chukā.ūñgī
nainoñ kā kajrā bhiig gayā bainī kā gajrā TuuT gayā
ab bhor-bha.e ghar aayā to ban kar maiñ so jā.ūñgī
Top Urdushayar.com