Shabnam Shakeel

ab mujhko kya KHabar wo yahan hai bhi ya nahin

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
ab mujh ko kyā ḳhabar vo yahāñ hai bhī yā nahīñ
har ik se shahr meñ to mirā rābta nahīñ
jannat banā to sakte haiñ is kā.enāt ko
lekin mirī tarah se koī sochtā nahīñ
jis rahguzar pe phuul saje haiñ mire liye
ai pā-e-shauq ab vo mirā rāsta nahīñ
zāhir se mutma.in hai mire aur ik naqāb
chehre pe jo paḌā hai use dekhtā nahīñ
jab tak thī dil meñ saañs bhī ḳhushbū banī rahī
hoñToñ pe aa ke baat meñ ab kuchh rahā nahīñ
ik vaqt thā ki raah guzarnā muhāl thā
ab muḌ ke rāste meñ koī dekhtā nahīñ
ab shaam ho ga.ī hai mujhe sonā chāhiye
sūraj tire ḳhayāl kā garche Dhalā nahīñ
Top Urdushayar.com