Shabnam Shakeel

har roz rah takti hain mere singhaar ki

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
har roz raah taktī haiñ mere siñghār kī
ghar meñ khilī huī haiñ jo kaliyāñ anaar kī
kal un ke bhī ḳhayāl ko maiñ ne jhaTak diyā
had ho ga.ī hai mere bhī sabr-o-qarār kī
maazī pe guftugū se vo ghabrā rahe the aaj
maiñ ne bhī aaj baat vahī baar baar kī
ab pyaar kī adā pe bhī jhunjhlā rahe haiñ vo
kahte haiñ mujh ko fikr hai kuchh kārobār kī
aksar to log pahlī sadā par hī bik ga.e
bolī to go lagī thī baḌe e'tibār kī
zinda rahī to naam bhī lūñgī na pyaar kā
saugand hai mujhe mire parvardigār kī
sab kā ḳhayāl ghar kī sajāT kī mahfileñ
maiñ ne bhī ab ye aam ravish iḳhtiyār kī
Top Urdushayar.com