Shabnam Shakeel

samne ek be-rahm haqiqat nangi ho kar nachti hai

Shabnam Shakeel

Lahore, Punjab, Pakistan

1942-2013
sāmne ik be-rahm haqīqat nañgī ho kar nāchtī hai
us kī āñkhoñ se ab merī maut kī ḳhvāhish jhāñktī hai
jism kā jaadū is duniyā meñ sar chaḌh kar jab boltā hai
ruuh mirī sharminda ho kar apnā chehra Dhāñptī hai
us kī jholī meñ sab khoTe sikke Daale jā.eñge
jāntī hai ye andhī bhikāran phir bhī din bhar māñgtī hai
merā ḳhuun piyā to us ko taaza lahū kī chaaT lagī
ab vo nāgin apnī zabāñ se apnā lahū bhī chāTtī hai
ab kī baar ai buzdil qismat khul kar mere sāmne aa
kyuuñ ik dhachkā roz lagā kar baaqī kal par Tāltī hai
maazī kī turbat se nikal aatī hai kisī kī yaad kī laash
merī soch mirī dushman hai roz musībat Dāltī hai
sahrā kā bādal do būñdeñ barsā kar uḌ jaatā hai
pyāsī banjar bāñjh zamīñ kuchh aur ziyāda hāñptī hai
ab tak soī huī thī vo āsā.ish ke gahvāre meñ
añgḌā.ī sī le kar 'shabnam' aaj anā kyuuñ jāgtī hai
Top Urdushayar.com