Kanval Ziai

zamane ko lahu pine ki lat hai

Kanval Ziai

Sialkot, Punjab, Pakistan

1927-2012
zamāne ko lahū piine kī lat hai
magar phir bhī yahāñ sab ḳhairiyat hai
hamārī shaḳhsiyat kyā shaḳhsiyat hai
har ik tevar dikhāve kī parat hai
hamārā ghar bahut chhoTā hai lekin
hamārā ghar hamārī saltanat hai
ye qatra ḳhuun kā dariyā banegā
abhī insān zer-e-tarbiyat hai
ta.āruf ham se apnī zaat kā bhī
abhī ahl-e-karam kī ma.arifat hai
likhe haiñ giit barsātoñ ke jis par
hamāre ghar pe us kāġhaz kī chhat hai
mirī āñkhoñ meñ talḳhī us jahāñ kī
tire chehre pe ḳhauf-e-āqibat hai
Top Urdushayar.com