Kanval Ziai

harfon ka dil kanp raha hai lafzon ki diwar ke pichhe

Kanval Ziai

Sialkot, Punjab, Pakistan

1927-2012
harfoñ kā dil kaañp rahā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
kis qātil kā naam likhā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
ḳhuun se jaltā ek diyā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
aaj bhī kitnī garm havā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
karvaT le kar ek qayāmat jāgne vaalī hai ab shāyad
kahne ko ik sannāTā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
sahmā sahmā khoyā khoyā kab se baiThā sochā rahā huuñ
kis ne mujh ko qaid kiyā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
sab jaane pahchāne chehre maiñ bhī tū bhī ye bhī vo bhī
lāshoñ kā ik shahr basā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
lafzoñ kī dīvār ke aage aks ubhar aayā hai kis kā
ḳhanjar le kar kaun khaḌā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
rūh-e-ġhazal par tanhā.ī meñ jaane kitne vaar hue haiñ
misra.a misra.a tharrātā hai lafzoñ kī dīvār ke pīchhe
Top Urdushayar.com