ġham kī har ek baat ko ab ġham pe chhoḌ de
is tishnagī ko qatra-e-shabnam pe chhoḌ de
jo tū ne kar diyā hai to is kā hisāb rakh
jo ham se ho gayā hai use ham pe chhoḌ de
ḳhanjar thā kis ke haath meñ bas itnā yaad kar
zaḳhmoñ kā dard vaqt ke marham pe chhoḌ de
tū devtā hai sirf ibādat se kaam rakh
aadam ke har gunāh ko aadam pe chhoḌ de
ab aane vaale vaqt kā tū intizār kar
maazī ko duur haal ke mātam pe chhoḌ de
mausam pe munhasir hai ye fasl-e-ġham-e-hayāt
fasl-e-ġham-e-hayāt ko mausam pe chhoḌ de
tū apne ghar ko talḳhī-e-ġham se bachā ke rakh
aalam kī baat vālī-e-ālam pe chhoḌ de