parakh fazā kī havā kā jise hisāb bhī hai
vo shaḳhs sāhab-e-fan bhī hai kāmyāb bhī hai
jo ruup aa.ī ko achchhā lage vo apnā leñ
hamārī shaḳhsiyat kāñTā bhī hai gulāb bhī hai
hamārā ḳhuun kā rishta hai sarhadoñ kā nahīñ
hamāre ḳhuun meñ gañgā bhī hai chanāb bhī hai
hamārā daur añdheroñ kā daur hai lekin
hamāre daur kī muTThī meñ āftāb bhī hai
kisī ġharīb kī roTī pe apnā naam na likh
kisī ġharīb kī roTī meñ inqilāb bhī hai
mirā savāl koī aam sā savāl nahīñ
mirā savāl tirī baat kā javāb bhī hai
isī zamīn par haiñ āḳhirī qadam apne
isī zamīn meñ boyā huā shabāb bhī hai