rūh-e-ajdād ko jhiñjhoḌ diyā bachchoñ ne
saare hālāt kā ruḳh moḌ diyā bachchoñ ne
āḳhirī ek khilaunā thā rivāyat kā vaqār
bātoñ bātoñ meñ jise toḌ diyā bachchoñ ne
ghar kā har shaḳhs nazar aatā hai but patthar kā
jab se rishtoñ ko nayā moḌ diyā bachchoñ ne
zindagī aaj hai ik aise apāhij kī tarah
lā ke jañgal meñ jise chhoḌ diyā bachchoñ ne
aaj ke daur kī tahzīb kā patthar le kar
ek dīvāne kā sar phoḌ diyā bachchoñ ne
zad meñ aa jā.eñge sab shahr sabhī gaañv bhī
mauj-e-dariyā ko kidhar moḌ diyā bachchoñ ne
sab buzurgoñ ke tabassum ko dikhāvā kahiye
varna ye sach hai ki dil toḌ diyā bachchoñ ne