Ali Abbas Ummeed

ruh ki baat sune jism ke tewar dekhe

Ali Abbas Ummeed

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1945
ruuh kī baat sune jism ke tevar dekhe
iltijā hai ki vo is aag meñ jal kar dekhe
tum vo dariyā ki chaḌhe bhī to ghaḌī bhar ke liye
maiñ vo qatra huuñ jo gir ke bhī samundar dekhe
chubhtā māhaul ghuTī ruuh gurezāñ lamhe
dil kī hasrat hai kabhī un se nikal kar dekhe
ek naqshe pe zamāna rahā hañgām-e-visāl
shīsha-e-jism meñ sau tarah ke manzar dekhe
kaise kar le vo yaqīñ tujh pe fareb-e-ġham-e-zāt
terī rāhoñ meñ jo tashkīk ke patthar dekhe
baat ho sirf haqīqat kī to sah le lekin
apne ḳhvāboñ ko bikharte koī kyūñkar dekhe
ham se mat pūchhiye kyā nafs pe guzrī 'ummīd'
ek ik saañs se laḌte hue lashkar dekhe
Top Urdushayar.com