maiñ to ik lamha-e-parīda rahā
jaane kyuuñ vo bahut kashīda rahā
rū-ba-rū zikr-e-nā-shunīda rahā
uTh gayā to mirā qasīda rahā
maiñ bhī banda hī thā ḳhudā kī qasam
ye alag hai ki barguzīda rahā
aur to koī ġham na thā us ko
bas mirī chaah meñ tapīda rahā
shab kī peshānī kā maiñ jhūmar thā
kyā huā gar havā-guzīda rahā
mere hisse meñ us sahīfe kā
ik varaq thā vahī darīda rahā
koī ummīd bar na aatī thī
zindagī bhar sitam-rasīda rahā