varaq hai mere sahīfe kā āsmāñ kyā hai
rahā ye chāñd to shāyad tumhārā chehrā hai
jo pūchhtā thā mirī umr us se kah denā
kisī ke pyaar ke mausam kā ek jhoñkā hai
simaT gayā thā añdheroñ ko dekh kar lekin
sahar ke saath mire rāste meñ bikhrā hai
jise bachātā rahā thā maiñ aabrū kī tarah
vo lamha aaj mirī muTThiyoñ se phislā hai
fazā kī shāḳh pe lafzoñ ke phuul khilne do
jise sukūt samajhte ho zard patta hai
abhī to mere garebāñ meñ hai tirī ḳhushbū
tire badan pe abhī merā naam likkhā hai
har ek shaḳhs ko ummīd bas usī se hai
hamāre shahr meñ vo ek hī to rusvā hai