Kaif Moradaabadi

ek ek lamha guzara ja raha hai hosh mein

Kaif Moradaabadi

ek ik lamha guzārā jā rahā hai hosh meñ
ai zahe-qismat jo haiñ tūfān kī āġhosh meñ
ab ye aalam hai hamārā bandagī ke josh meñ
ek sajda be-ḳhudī meñ ek sajda hosh meñ
maslahat kuchh bhī na kahne de to is kā kyā ilaaj
jaane kitnī dāstāneñ haiñ lab-e-ḳhāmosh meñ
uf ye sailāb-e-havādis haa.e ye tūfān-e-ġham
yuuñ bhī laatā hogā dīvāne ko koī hosh meñ
Dar hai ahl-e-kārvāñ kī tezī-e-raftār se
apnī manzil bhī na kho baiTheñ kisī din josh meñ
sāmne mahshar ho yā kaunain chāhe kuchh bhī ho
un kā dīvāna to ab aatā nahīñ hai hosh meñ
'kaif' se pūchhe koī tere karam kī vus.ateñ
us ne dekhā hai do-ālam ko tirī āġhosh meñ
Top Urdushayar.com