vo ġham de rahe haiñ ḳhushī ho rahī hai
haqīqat meñ ab āshiqī ho rahī hai
abhī mohtasib mai-kade meñ na aa.eñ
Thahar jā.iye mai-kashī ho rahī hai
mohabbat meñ kitne hī mansūr gum haiñ
ḳhudī bhī yahāñ be-ḳhudī ho rahī hai
na zauq-e-talab hai na ehsās-e-manzil
ye jiinā hai yā ḳhud-kushī ho rahī hai
koī jur.ateñ dekhe ahl-e-havas kī
mohabbat se bhī dil lagī ho rahī hai
ye mai-ḳhāne meñ kis kā paimāna chhalkā
bahut duur tak raushnī ho rahī hai
na pūchho yagānoñ kī begāngī ko
ye sab dost meñ dostī ho rahī hai
ajab ālam-e-'kaif' hai bazm-e-jānāñ
nigāhoñ se bhī bandagī ho rahī hai