Kaif Moradaabadi

rasai sai-e-na-mashkur ho jae to kya hoga

Kaif Moradaabadi

rasā.ī sa.i-e-nā-mashkūr ho jaa.e to kyā hogā
qadam rakhte hī manzil duur ho jaa.e to kyā hogā
tajallī ḳhud hijāb-e-nūr ho jaa.e to kyā hogā
ba-zāhir bhī koī mastūr ho jaa.e to kyā hogā
haqīqat meñ koī mahjūr ho jaa.e to kyā hogā
nazar se duur dil se duur ho jaa.e to kyā hogā
abhī to aarzī hai dost ban kar dushmanī karnā
jo duniyā kā yahī dastūr ho jaa.e to kyā hogā
ye sab se chhup ke ḳhud ko aa.ine meñ dekhne vaale
nazar ḳhalvat meñ barq-e-tūr ho jaa.e to kyā hogā
liye jaatā hai azm-e-tark-e-ulfat un kī mahfil meñ
nazar uThte hī dil majbūr ho jaa.e to kyā
nizām-e-āshiqī qaa.em hai un kī be-niyāzī se
kisī kī iltijā manzūr ho jaa.e to kyā hogā
har ik ko 'kaif' tum kyoñ apnā afsāna sunāte ho
ġham-e-ulfat ġham-e-jamhūr ho jaa.e to kyā hogā
Top Urdushayar.com