hālat-e-dil vahī rahī maqsad-e-dil ko pā ke bhī
ham to sukūñ na pā sake un ke qarīb jā ke bhī
izn-e-nazāra to diyā jur.at-e-dīd chhīn lī
vo kabhī sāmne na aa.e ruḳh se hijāb uThā ke bhī
dil hai na zauq-e-ārzū koī talab na justujū
ab vo kareñge kyā mujhe sāhib-e-dil banā ke bhī
pās-e-razā-e-dost ko ahl-e-vafā se pūchhiye
kuchh na zabāñ se kah sake un kā ishāra pā ke bhī
khul gayā rāz-e-hāl-e-dil jab vo harīm-e-nāz meñ
ham se nazar churā.īye sab se nazar milā ke bhī
yuuñ bhī ik imtihāñ sahī jazb-e-darūn-e-ishq kā
kuchh dinoñ dekh lījiye dil se hameñ bhulā ke bhī
kam huī kyā fasurdagī 'kaif'-e-alam-nasīb kī
aap ne dekh to liyā bārhā muskurā ke bhī