Kaif Moradaabadi

baDhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai

Kaif Moradaabadi

baḌhe chalo ki zamāne ko ye dikhānā hai
jahāñ hamāre qadam haiñ vahīñ zamāna hai
ye husn-o-ishq kī tafrīq ik bahāna hai
kahīñ nazar ko kahīñ dil ko āzmānā hai
ab is junūn-e-talab kā koī Thikāna hai
ki apne aap ko kho kar bhī un ko paanā hai
bas ek ishq hī aisā sharāb-ḳhāna hai
jahāñ surūr kā mafhūm hosh aanā hai
ilāhī tamkanat-e-husn-o-nāz-e-husn kī ḳhair
kuchh aaj ishq kā andāz vālihāna hai
maiñ har gunāh kī haqīqat batā to duuñ sar-e-hashr
magar unheñ jo har ilzām se bachānā hai
zarā junūn-e-tamannā se dil guzar jaa.e
phir is ke baad koī daam hai na daana hai
maiñ jāntā huuñ jo hai farq-e-zāt-o-partav-e-zāt
mirī nigāh pas-e-parda-e-zamāna hai
kise nasīb ho sajda ye aur baat hai 'kaif'
har ik jabīñ ke qarīb un kā āstāna hai
Top Urdushayar.com