ġham-e-hastī na kuchh fikr-e-dil-o-jāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ki har har gaam par koī nigahbāñ hai jahāñ maiñ huuñ
har ik nazzāra sau pardoñ meñ pinhāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ḳhudā jaane kahāñ kal bazm-e-imkāñ hai jahāñ maiñ huuñ
har ik jazba ta.ayyun se gurezāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ġham-e-dil be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ hai jahāñ maiñ huuñ
kamāl-e-be-ḳhudī manzil-ba-manzil kaam kartā hai
junūn-e-justujū sar-dar-garebāñ hai jahāñ maiñ huuñ
havā meñ ik musalsal irti.āsh-e-shauq hai pinhāñ
fazā meñ paiham ik bijlī sī raqsāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ġham-e-hāsil muqayyad kar rahā hai sa.ī-e-hāsil ko
mazāq-e-ārzū dīvār-e-zindāñ hai jahāñ maiñ huuñ
mujhe har yaum ishrat partav-e-rū-e-nigārīñ hai
shab-e-ġham sāya-e-zulf-e-pareshāñ hai jahāñ maiñ huuñ
kahāñ ke aish-o-ġham kaisī murādeñ kaise andeshe
ki saarī zindagī ḳhvāb-e-pareshāñ hai jahāñ maiñ huuñ
junūn insān ke andāz-e-farzāna ko kahte haiñ
ḳhirad kā naam ehsās-e-pashemāñ hai jahāñ maiñ huuñ
jo har manzil meñ rahbar thā vo ab bhī saath hai varna
yahāñ har gaam par laġhzish kā imkāñ hai jahāñ maiñ huuñ
kisī se 'kaif' maiñ rāz-e-haqīqat kis tarah pūchhūñ
har ik sūrat har ik nazzāra hairāñ hai jahāñ maiñ huuñ