Kaif Moradaabadi

kya KHabar thi ishq mein aisa bhi ek daur aae hai

Kaif Moradaabadi

kyā ḳhabar thī ishq meñ aisā bhī ik daur aa.e hai
baat kaisī saañs letā huuñ to jī ghabrā.e hai
rahm kar jazb-e-mohabbat ye sitam kyoñ Dhaa.e hai
husn aur betāb-o-hairāñ kis se dekhā jaa.e hai
yuuñ to un kī yaad se miltī hai taskīn-e-hayāt
aur jab taḌpā.e hai zālim bahut taḌpā.e hai
ḳhushk āñkheñ muskurāte hoñT chehra mutma.in
yuuñ bhī aksar dāstān-e-ġham sunā.ī jaa.e hai
aur to kyā zindagī kā hosh tak chhoḌā nahīñ
lūTne vaale kahīñ aise bhī luuTā jaa.e hai
rañg-e-gulshan dekhne vaale kabhī ye bhī to dekh
nannhī nannhī pattiyoñ meñ kaun ras dauḌāye hai
ishq ke maare hue duniyā ko dekheñ bhī to kyā
jab nazar uThtī hai koī sāmne aa jaa.e hai
husn chhuptā phir rahā hai muḳhtalif pardoñ meñ 'kaif'
ishq kī zālim nazar ke sāmne kaun aa.e hai
Top Urdushayar.com