junūn-e-ishq kisī ko bhī yuuñ na raas aa.e
vo mere paas to aa.e magar udaas aa.e
jise hayāt kisī ruḳh se bhī na raas aa.e
kisī ke paas na jaa.e hamāre paas aa.e
vahāñ se jald guzar jaa.eñ rahravān-e-hayāt
jahāñ bhī raah meñ koī maqām-e-yās aa.e
firāq-o-vasl kī rūdād muḳhtasar ye hai
kabhī vo paas se guzre kabhī vo paas aa.e
kuchh aise log bhī dekhe jo bazm-e-jānāñ meñ
udaas udaas ga.e aur udaas udaas aa.e
ye iztirāb nahīñ ne.amat-e-musalsal hai
ḳhudā kare koī aalam mujhe na raas aa.e
kisī ne ek ishāre ko bhī nahīñ samjhā
huzūr dost bahut se adā-shanās aa.e
ġham-e-hayāt-o-ġham-e-dahr baḳhshne vaale
ik aisā ġham bhī atā kar jo dil ko raas aa.e
adab meñ 'kaif' kā dam bhī bahut ġhanīmat hai
muhāl hai ki ab aisā suḳhan-shanās aa.e