ġham ne diloñ ko raam kiyā aur guzar gayā
zālim ne apnā kaam kiyā aur guzar gayā
sayyād kuchh to ḳhātir-e-ahal-e-vafā kare
ye kyā asīr-e-dām kiyā aur guzar gayā
ai sāqī-e-bahār tire zauq ke nisār
har gul ko ek jaam kiyā aur guzar gayā
aayā thā but-kada bhī mirī rāh-e-shauq meñ
maiñ ne to ik salām kiyā aur guzar gayā
ye kā.enāt hai ki kisī ne ba-sad hijāb
ik ḳhaas jalva aam kiyā aur guzar gayā
aayā qarīb 'kaif' koī mast-e-nāz-e-husn
Daalī nazar ġhulām kiyā aur guzar gayā