Kaif Moradaabadi

jo uThi thi meri taraf kabhi dil-e-motabar ki talash mein

Kaif Moradaabadi

jo uThī thī merī taraf kabhī dil-e-mo'tabar kī talāsh meñ
merī saarī umr guzar ga.ī usī ik nazar kī talāsh meñ
ġham-e-ishq hī ko maiñ kyā kahūñ tire husn ko bhī nahīñ sukūñ
kabhī is nazar kī talāsh meñ kabhī us nazar kī talāsh meñ
jo yahī junūñ hai to mil chukī hameñ manzil-e-ġham-e-āshiqī
usī rahguzar se guzar ga.e usī rahguzar kī talāsh meñ
sar-e-manzil aa ke patā chalā ki qadam qadam pe fareb thā
kahīñ ham-safar kī umiid meñ kahīñ ham-safar kī talāsh meñ
use vasl kaisā haqīqatan ġham-e-hijr kā bhī to haq nahīñ
jo tamām raat guzār de magar ik sahar kī talāsh meñ
hai ajiib qismat-e-'kaif' bhī ye milā hai hāsil-e-bandagī
ki mazāq-e-sajda bhī kho diyā kisī sañg-e-dar kī talāsh meñ
Top Urdushayar.com