ye sochtā huuñ ki ḳhud ārif-e-hayāt bhī hai
bashar jo mahram-e-asrār-e-kā.enāt bhī hai
nafas nafas meñ rahe kyoñ na ik jahān-e-sifāt
mirī nigāh meñ tanvīr-e-husn-e-zāt bhī hai
diloñ ko mil nahīñ saktī thī ishrat-e-abadī
hazār shukr mohabbat meñ ġham kī raat bhī hai
vo ik ḳhayāl ki jis ne ġham-e-hayāt diyā
vahī ḳhayāl ilāj-e-ġham-e-hayāt bhī hai
jo sirr-e-ishq bhī hai rāz-e-husn-e-jānāñ bhī
yaqīñ karo mire dil meñ ik aisī baat bhī hai
ye har gunah pe jo ehsās hai nadāmat kā
mujhe to 'kaif' yahī hīla-e-najāt bhī hai