koī nazar kisī aalam meñ kāmyāb nahīñ
tilism-e-sūrat-o-ma.anī tirā javāb nahīñ
nafas nafas meñ agar zauq-e-inqalāb nahīñ
fareb-e-mastī-e-pindār hai shabāb nahīñ
ba-qadr-e-zarf talabgār hai urūj-o-zavāl
zamīñ pe hai vahī zarra jo āftāb nahīñ
hazār saal bhī ġhaflat ke de nahīñ sakte
us ek lamha kī qīmat jo sirf ḳhvāb nahīñ
hujūm-e-shauq meñ koī nazar samajh na sakī
shu.ūr-e-dīd kī ta.alīm thī hijāb nahīñ
barā-e-afv gunahgār kī taraf jo uThe
us ik nigāh-e-karam kā koī javāb nahīñ
diloñ ko sīnoñ meñ dhaḌkā ke rah gayā hai 'kaif'
vo inqalāb kā dhokā thā inqalāb nahīñ