baqā kī fikr karo ḳhud hī zindagī ke liye
zamāna kuchh nahīñ kartā kabhī kisī ke liye
nahīñ hai vaqf agar zindagī kisī ke liye
to har qadam pe tabāhī hai aadmī ke liye
kamāl jab hai ki us raah meñ charāġh jalāo
jo muddatoñ se tarastī hai raushnī ke liye
fareb-e-shauq fareb-e-nazar fareb-e-ḳhayāl
hazār daam haiñ ik zauq-e-āgahī ke liye
tumhārī bazm meñ kyā shikva-e-ġham-e-hastī
yahāñ to saañs bhī ne.amat hai zindagī ke liye
guloñ ne aag lagā dī tamām gulshan meñ
zarā sī der ke lutf-e-shaguftagī ke liye
koī to baat tire āstāñ meñ hai varna
hazār dar the mire zauq-e-bandagī ke liye
vahāñ havāoñ ke ruḳh bhī nigāh meñ rakhnā
jahāñ charāġh jalāte ho raushnī ke liye
na jaane kitnī bahāroñ kā ḳhuuñ huā hogā
nigār-e-ḳhāna-ālam kī dilkashī ke liye
faroġh-e-bāda nahīñ hai harīf-e-tishna-labī
kuchh aur laao mire zauq-e-mai-kashī ke liye
nigāh-e-barq hai jab se mire chaman kī taraf
duā.eñ maañg rahā huuñ kalī kalī ke liye
jo un ke ġham se ho nisbat to har jahān meñ 'kaif'
masarratoñ kā ḳhazāna hai aadmī ke liye