Kaif Moradaabadi

ahl-e-dil jo bhi baat kahte hain

Kaif Moradaabadi

ahl-e-dil jo bhī baat kahte haiñ
koī rāz-e-hayāt kahte haiñ
un ke ġham se hai jāvedāñ varna
ziist ko be-sabāt kahte haiñ
haa.e vo daur-e-ishq jab aañsū
dāstān-e-hayāt kahte haiñ
ḳhvāb-e-ġhaflat meñ jo guzartā hai
ham to us din ko raat kahte haiñ
ishq kī istilāh meñ ġham ko
inqalāb-e-hayāt kahte haiñ
jo bhī haiñ vāqif-e-haqīqat-e-dil
dil ko hī kā.enāt kahte haiñ
lafz-o-ma.anī meñ aa nahīñ saktī
vo nazar se jo baat kahte haiñ
mard-e-haq meñ to mā-sivā ko bhī
partav-e-husn-e-zāt kahte haiñ
muddatoñ ġhaur karnā paḌtā hai
un se jab dil kī baat kahte haiñ
kār-gāh-e-nuqūsh-e-ibrat ko
'kaif' sab kā.enāt kahte haiñ
Top Urdushayar.com