dil meñ hai ik raaz jo hoñToñ tak aa saktā nahīñ
ya.anī maiñ jis haal meñ bhī huuñ batā saktā nahīñ
be-ḳhudī-e-zauq-e-sajda ne ye aalam kar diyā
sar to sar ab to nigāheñ bhī uThā saktā nahīñ
hai razā-e-dost meñ shāmil junūn-e-ishq bhī
chāhe kuchh kiije mujhe to hosh aa saktā nahīñ
un ke ik jalve meñ hai mahdūd un ke sāmne
merā jo aalam do-ālam meñ samā saktā nahīñ
zāhir-o-bātin kī har tafrīq hī jaatī rahī
ab maiñ chāhūñ bhī to hāl-e-dil chhupā saktā nahīñ
un kī muḳhtārī bhī ik shān-e-karam hai aur kyā
jo kisī saa.il se dāman tak chhuḌā saktā nahīñ
'kaif' ik ḳhvāb-e-pareshāñ hai kisī mahbūb kā
lekin aisā jis ko vo ḳhud bhī bhulā saktā nahīñ