Ashar Hashmi

kya qadr-e-ana hogi jabin jaan rahi hai

Ashar Hashmi

kyā qadr-e-anā hogī jabīñ jaan rahī hai
jis shahr meñ sajdoñ kī hī pahchān rahī hai
kuchh ham ne bhī duniyā ko satāyā hai bahr haal
kuchh apnī tabī.at se bhī halkān rahī hai
mazbūt rahā husn-e-nazar se mirā rishta
jab tak vo mire shahr meñ mehmān rahī hai
mai ne bhī diyā hai mirī vahshat ko baḌhāvā
do chaar dinoñ vo bhī nigahbān rahī hai
us ko to safar karte nahīñ dekhā kisī ne
rāhoñ kī magar dhuul use pahchān rahī hai
vo ho ki na ho farq nahīñ paḌtā hai kuchh bhī
ye raat ka.ī sadiyoñ se vīrān rahī hai
kyā jaane kahāñ ḳhatm ho 'ash.har' kī kahānī
ab tak to kisī dard kā unvān rahī hai
Top Urdushayar.com