hai kaun jis se ki vaada ḳhatā nahīñ hotā
magar kisī kā irāda ḳhatā nahīñ hotā
jahāñ bisāt pe ghir jaa.e shaah narġhe meñ
vahāñ kabhī bhī piyāda ḳhatā nahīñ hotā
vo dushmanoñ meñ agar ho to bach bhī jā.ūñ maiñ
usī kā vaar mabādā ḳhatā nahīñ hotā
jo sar bache bhī to dastār bach nahīñ saktī
nishāna us kā ziyāda ḳhatā nahīñ hotā
kisī kī gard-e-safar baiThte bhī dekheñge
hamārī nazroñ se jaada ḳhatā nahīñ hotā
haiñ tajrabe mire ehsānmand lafzoñ ke
ho shakl yā ki labāda ḳhatā nahīñ hotā