Ashar Hashmi

ek shahr ziya-bar yahan bhi hai wahan bhi

Ashar Hashmi

ik shahr ziyā-bār yahāñ bhī hai vahāñ bhī
lekin mirā āzār yahāñ bhī vahāñ bhī
raushan mire andar ke andheroñ meñ barābar
ik ātish-e-pindār yahāñ bhī hai vahāñ bhī
ahbāb mire ek hī jaise haiñ jahāñ haiñ
ik jazba-e-īsār yahāñ bhī hai vahāñ bhī
ik sub.h tire saath ka.ī miil chale the
us sub.h kā asrār yahāñ bhī hai vahāñ bhī
gar saath azīzo na mayassar ho tumhārā
jiinā mirā bekār yahāñ bhī hai vahāñ bhī
hai jis kī ravānī se lahū garm hamārā
vo chashma-e-bedār yahāñ bhī hai vahāñ bhī
āñkhoñ se mire dil meñ samāyā hai jo 'ash.har'
us shoḳh kī sarkār yahāñ bhī hai vahāñ bhī
Top Urdushayar.com