Ashar Hashmi

shahr mein chhai hui diwar-ta-diwar thi

Ashar Hashmi

shahr meñ chhā.ī huī dīvār-tā-dīvār thī
ek pathrīlī ḳhamoshī paikar-e-guftār thī
bādaloñ kī chiTThiyāñ kyā aa.iiñ dariyāoñ ke naam
har taraf paanī kī ik chaltī huī dīvār thī
inkishāf-e-shahr-e-nā-mālūm thā har sher meñ
tajrabe kī tāza-kārī sūrat-e-ash.ār thī
aarzū thī sāmne baiThe raheñ bāteñ kareñ
aarzū lekin bechārī kis qadar lāchār thī
ghar kī donoñ khiḌkiyāñ khultī thiiñ saare shahr par
ek hī manzar kī puure shahr meñ takrār thī
āñsuoñ ke chand qatroñ se thī tar puurī kitāb
har varaq par ek sūrat mā.el-e-guftār thī
us se milne kī talab meñ jī liye kuchh aur din
vo bhī ḳhud biite dinoñ se bar-sar-e-paikār thī
Top Urdushayar.com