ajnabiyat thī magar ḳhāmosh istifsār par
naam us ne ik alāmat meñ likhā dīvār par
rā.egāñ jaatī huī umr-e-ravāñ kī ik jhalak
tāziyāna hai qanā.at-ashnā kirdār par
dushmanoñ ke darmiyāñ merā muhāfiz hai qalam
maiñ ne har talvār rokī hai isī talvār par
din ho jaisā bhī guzar jaatā hai apne taur se
raat hotī hai magar bhārī tire bīmār par
sust-gāmī le ke manzil tak chalī aa.ī mujhe
tez-rau ahbāb hairāñ haiñ mirī raftār par
shab ke sannāTe hī meñ kartā hai sachchī guftugū
shahr apnā dukh sunātā hai dar o dīvār par
zindagī karnā vo mushkil fan hai 'ash.har' hāshmī
jaise ki chalnā paḌe bijlī ke nañge taar par