kabhī dhanak sī utartī thī un nigāhoñ meñ
vo shoḳh rañg bhī dhīme paḌe havāoñ meñ
maiñ tez-gām chalī jā rahī thī us kī samt
kashish ajiib thī us dasht kī sadāoñ meñ
vo ik sadā jo fareb-e-sadā se bhī kam hai
na Duub jaa.e kahīñ tund-rau havāoñ meñ
sukūt-e-shām hai aur maiñ huuñ gosh-bar-āvāz
ki ek va.ade kā afsūñ sā hai fazāoñ meñ
mirī tarah yūñhī gum-karda-rāh chhoḌegī
tum apnī baañh na denā havā kī bāñhoñ meñ
nuqūsh paañv ke likhte haiñ manzil-e-nā-yāft
mirā safar to hai tahrīr merī rāhoñ meñ