Kaleem Sahasrami

kisi ki jab se jafaon ka silsila na raha

Kaleem Sahasrami

kisī kī jab se jafāoñ kā silsila na rahā
dil-e-hazīñ meñ mohabbat kā hausla na rahā
dayār-e-husn meñ miltī nahīñ hai jins-e-vafā
dil-e-ġharīb kā ab un se vāsta na rahā
havā-e-yās ne sham-e-umīd gul kar dī
kisī se ab koī shikva bhī barmalā na rahā
mirī nazar kā taqāzā bhalā vo kyā samjheñ
ki husn-o-ishq meñ pahlā sā rābta na rahā
ujaḌ gayā hai kuchh is tarah ab dayār-e-vafā
kahīñ bhī merī tamannā kā naqsh-e-pā na rahā
ḳhudī na ho sakī minnat-kash-e-nashāt-e-vafā
hamārā haath kabhī mā.il-e-duā na rahā
'kalīm' kaun musībat meñ kis kā hotā hai
dayār-e-dost meñ koī bhī āshnā na rahā
Top Urdushayar.com