na ho jo un kī tabī.at vafā-shi.ār nahīñ
hameñ to talḳhī-e-daurāñ bhī nāgavār nahīñ
ye zarf zarf kī bāteñ haiñ is kā kyā shikva
hai shukr aap kī nazroñ meñ sharmsār nahīñ
hamīñ ne ḳhuun se sīñchā hai ġhuncha-o-gul ko
bahār kahte haiñ jis ko vo ye bahār nahīñ
nazar nazar hai fasāna nafas nafas shikva
hujūm-e-yās meñ sharminda-e-bahār nahīñ
ḳhizāñ-rasīda bahāroñ kā zikr kyā ho 'kalīm'
hameñ to kuchh bhī mohabbat meñ sāzgār nahīñ