Kaleem Sahasrami

phir iztirab-e-shauq mein gham se mafar kahan

Kaleem Sahasrami

phir iztirāb-e-shauq meñ ġham se mafar kahāñ
vo husn-e-iltifāt vo husn-e-nazar kahāñ
tārīkī-e-hayāt se ghabrā gayā hai jī
dekheñ shab-e-firāq kī phir ho sahar kahāñ
tere baġhair mahfil-e-dil bhī udaas hai
ai husn-e-nā-shanās tujhe ye ḳhabar kahāñ
ab tak samajh rahā thā jise terī rahguzar
thā ik fareb-e-shauq tirī rahguzar kahāñ
arsa huā ki bazm-e-tamannā ujaḌ chukī
pahlī sī ab vo raunaq-e-shām-o-sahar kahāñ
jalvoñ kī taab lā na sakī dil kī aañkh bhī
phir dekhe kis tarah koī tāb-e-nazar kahāñ
ik chashm-e-lutf kā hai tirī muntazir 'kalīm'
varna jabīn-e-shauq kahāñ sañg-e-dar kahāñ
Top Urdushayar.com