ik umr fasāne ġham-e-jānāñ ke gaḌhe haiñ
taare ufuq-e-sher pe kyā kyā na jaḌe haiñ
sahrā meñ hai jal-thal to samundar meñ bagūle
ham vaz.a ke pāband haiñ chup-chāp paḌe haiñ
aa.e koī jaa.e hameñ kyā kaam ki ham log
khambe haiñ ki saḌkoñ ke kināre pe gaḌe haiñ
ḳhud par jo paḌī hai to dhaḌaktā nahīñ dil bhī
ġhairoñ ke liye ka.abe meñ jā jā ke laḌe haiñ
mehdī koī aa.egā badal degā muqaddar
kyā jāniye is aas meñ kis din se paḌe haiñ
ham kuchh bhī hoñ lekin haiñ tire paañv kī miTTī
charche tire kuchh bhī na hoñ phir bhī to baḌe haiñ
ye martaba hāsil hai tirī bazm ko jin se
vo log abhī tak pas-e-dīvār paḌe haiñ
añgāre baraste haiñ agar kuchh to hai varna
is muñh se sadā phuul mohabbat ke jhaḌe haiñ
mauqūf karo ham-suḳhanī 'mīr' kī 'shohrat'
arbāb-e-qalam par ye shab-o-roz kaḌe haiñ