maiñ ne hī na kuchh khoyā jo paayā na kisī ko
us ne bhī to puurā na kiyā merī kamī ko
hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ siine meñ ab tak
darkār nahīñ aur mirī tishna-labī ko
hañste unheñ dekhā to bahut phuuT ke ro.e
jo log taraste rahe ik umr hañsī ko
kuchh aisī tabī.at milī ham ahl-e-chaman ko
bardāsht kiyā hai kabhī shabnam na kalī ko
har ashk ajab gauhar-e-yak-dāna hai 'shohrat'
girya baḌī daulat hai jo miltī hai kisī ko