in ko dekhā thā kahīñ yaad nahīñ
āsmāñ thā ki zamīñ yaad nahīñ
chāñd tāroñ kī muñdī thiiñ āñkheñ
thā kahāñ mehr-e-mubīñ yaad nahīñ
naġhma hī naġhma thā yā rañg hī rañg
ham makāñ the ki makīñ yaad nahīñ
ahd-o-paimāñ kī jhamaktī sham.eñ
kis tarah Duub ga.iiñ yaad nahīñ
ab ye aalam hai ki ḳhud ham ko bhī
kyuuñ hue barq-nashīñ yaad nahīñ
maut pyārī jo lagā kartī hai
is qadar kyuuñ hai ġhamīñ yaad nahīñ
ras bharī sub.heñ nashīlī shāmeñ
kis ke hamrāh ga.iiñ yaad nahīñ
raakh ke Dher haiñ chāroñ jānib
bastiyāñ kaise luTīñ yaad nahīñ
jin kī ta.abīr haiñ aañsū 'shohrat'
aaj vo ḳhvāb-e-hasīñ yaad nahīñ