dil ne kis manzil-e-be-nām meñ chhoḌā thā mujhe
raat bhar ḳhud mire saa.e ne bhī DhūñDā thā mujhe
mujh ko hasrat ki haqīqat meñ na dekhā us ko
us ko nārāzgī kyuuñ ḳhvāb meñ dekhā thā mujhe
ajnabī ban ke sar-e-rāh milā thā jo abhī
ye vahī shaḳhs hai jis ne kabhī chāhā thā mujhe
jab bhī tanhā.ī mile ā.īna hai yā maiñ huuñ
us ne kis aan se kis aan meñ dekhā thā mujhe
jin se bhāgā thā vahī sūrateñ phir sāmne haiñ
kaun sī qabr meñ duniyā ne utārā thā mujhe
vo faqat mere liye paidā hue haiñ 'shohrat'
kaun sā lamha thā jab vahm ye guzrā thā mujhe