har lamha thā sau saal kā Taltā bhī to kaise
le aa.ī shab-e-ġham koī martā bhī to kaise
ik aag thī jo phūñk rahī thī do-jahāñ ko
vo dil se mire ho ke guzartā bhī to kaise
ham pyaas ke māroñ ne abas aas lagā.ī
barsā huā bādal thā barastā bhī to kaise
gulchīñ kī nazar taak meñ rahtī thī barābar
ġhuncha koī khiltā bhī mahaktā bhī to kaise
tinke kī rukāvaT bhī na thī ġhaar kī tah meñ
phir phailā huā paañv sambhaltā bhī to kaise
saaya na koī naqsh-e-qadam kūcha na bāzār
sahrā ke safar meñ thā bhaTaktā bhī to kaise
siine meñ koī sho.ala na nazroñ meñ kahīñ barq
'shohrat' bhalā dil merā bahaltā bhī to kaise