vahm sābit hue sab ḳhvāb suhāne tere
yaad karte haiñ magar log fasāne tere
kaash vo din na kabhī aa.e ki tū aa jaa.e
raas aate haiñ mire jī ko bahāne tere
aisī uftād paḌī apnī ḳhabar bhī na rahī
ham to aa.e the yahāñ rañg jamāne tere
kal chhupā rakhte the ḳhud se bhī mohabbat apnī
aaj aa.e haiñ tujhe daaġh dikhāne tere
ḳhalq kā dhyān haTāte rahe kāñTe kyā kyā
raaz ifshā kiye sab bād-e-sabā ne tere
dard kyā kyā na mile shauq-e-talab se apne
zaḳhm kyā kyā na diye zauq-e-hayā ne tere
juz tire chāhne vaalā thā na un kā koī
lauT kar aa.e na 'shohrat' vo zamāne tere