koThe ujaaḌ khiḌkiyāñ chup rāste udaas
jaate hī un ke kuchh na rahā zindagī ke paas
do pal baras ke abr ne dariyā kā ruḳh kiyā
taptī zamīñ se pahroñ nikaltī rahī bhaḌās
miTTī kī sauñdh jaate hue saath le uḌī
Daalī kā loch paat kī sabzī kalī kī baas
ashkoñ se kis ko pyaar hai aahoñ se kis ko uns
lekin ye dil ki jis ko ḳhushī aa sakī na raas
hoshyār ai naved-e-ajal luT na jā.iyo
phirtā hai koī āTh-pahr dil ke aas paas
aañsū ho mai ho zahr ho āb-e-hayāt ho
juz ḳhūn-e-ārzū na mujhe zindagī kī pyaas
jaise kabhī ta.alluq-e-ḳhātir na rahā
yuuñ ruuTh kar chalī ga.ī 'shohrat' har ek aas