dil us se lagā jis se rūThā bhī nahīñ jaatā
kaam us se paḌā jis ko chhoḌā bhī nahīñ jaatā
din raat taḌaptā huuñ ab jis kī judā.ī meñ
vo sāmne aa.e to dekhā bhī nahīñ jaatā
manzil pe pahuñchne kī ummīd bañdhe kaise
paañv bhī nahīñ uThte rasta bhī nahīñ jaatā
ye kaun sī bastī hai ye kaun sā mausam hai
sochā bhī nahīñ jaatā bolā bhī nahīñ jaatā
añgāroñ kī manzil meñ zanjīr-bapā haiñ ham
Thahrā bhī nahīñ jaatā bhāgā bhī nahīñ jaatā
is martaba chhā.ī hai kuchh aisī ghaTā jis se
khulnā bhī nahīñ hotā barsā bhī nahīñ jaatā
har haal meñ itne bhī be-bas na hue the ham
daldal bhī nahīñ lekin niklā bhī nahīñ jaatā
mar jaate the ġhairoñ ke kāñTā bhī jo chubhtā thā
ḳhud qatl hue lekin royā bhī nahīñ jaatā
kāfir hoñ jo hasrat ho jiine kī magar 'shohrat'
is haal meñ yāroñ ko chhoḌā bhī nahīñ jaatā