Shohrat Bukhari

har-chand sahaara hai tere pyar ka dil ko

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
har-chand sahārā hai tire pyaar kā dil ko
rahtā hai magar ek ajab ḳhauf sā dil ko
vo ḳhvāb ki dekhā na kabhī le uḌā nīndeñ
vo dard ki uTThā na kabhī khā gayā dil ko
yā saañs kā lenā bhī guzar jaanā hai jī se
yā mārka-e-ishq bhī ik khel thā dil ko
vo aa.eñ to hairān vo jaa.eñ to pareshān
yā-rab koī samjhā.e ye kyā ho gayā dil ko
sone na diyā shorish-e-hastī ne ghaḌī bhar
maiñ laakh tirā zikr sunātā rahā dil ko
rūdād-e-mohabbat na rahī is ke sivā yaad
ik ajnabī aayā thā uḌā le gayā dil ko
juz gard-e-ḳhamoshī nahīñ 'shohrat' yahāñ kuchh bhī
kis manzil-e-ābād meñ pahuñchā liyā dil ko
Top Urdushayar.com