jaane kyā baat hai mānūs bahut lagtā hai
ye jo ik ġhair sā is bazm meñ aa baiThā hai
umr-bhar tū ne zamāne kā kahā maanā hai
dil kī āvāz bhī sun dekh to kyā kahtā hai
mil bhī jaa.e jo koī naav to ab kyā hāsil
ab to dariyā mire darvāze pe aa pahuñchā hai
us ne dil jaan ke chheḌā use ma.alūm na thā
mere pahlū meñ dahaktā huā añgārā hai
merā jī jaane hai yā merā ḳhudā jaane hai
kyā sunā hai tire is shahr meñ kyā dekhā hai
haa.e kyā dīda-varī hai ki sahar-dam ye khulā
jis ko ham sham.a samajhte rahe parvāna hai
koī ro.e to hañso koī hañse to rovo
aaj ke daur meñ jiine kā yahī rasta hai
mere siine meñ ḳhunuk tīrgiyāñ chhoḌ gayā
ek ā.īna ki sūraj kī tarah jaltā hai
koī bastī na koī peḌ na chashma koī
qāfila umr-e-ravāñ kā ye kahāñ utrā hai
jāh-o-mansab kī havas ho to maiñ kāfir 'shohrat'
maiñ sag-e-kū-e-alī huuñ merā kyā kahnā hai