but bane raah takoge kab tak
aas kī aañch sahoge kab tak
sar uThā kar kabhī dekho to sahī
dil kī duniyā meñ basoge kab tak
jis ne apnī bhī ḳhabar lī na kabhī
tum use yaad karoge kab tak
ham-safar ho to koī apnā-sā
chāñd ke saath chaloge kab tak
koī pattā hai na buuTā hai na gul
dasht ko baaġh kahoge kab tak
har taraf aag barastī hai yahāñ
kis tavaqqo.a pe rahoge kab tak
āñdhiyāñ tez huī jaatī haiñ
ghar bulātā hai chaloge kab tak
koī jā kar nahīñ aatā 'shohrat'
sūrat-e-sham.a ghuloge kab tak