Shohrat Bukhari

wahshat ka kahin asar nahin hai

Shohrat Bukhari

Lahore, Punjab, Pakistan

1925-2001
vahshat kā kahīñ asar nahīñ hai
kuchh bhī hai ye merā ghar nahīñ hai
tā-hadd-e-falak khiñchī hai dīvār
dīvār meñ koī dar nahīñ hai
āġhāz-e-safar meñ qāfila thā
ab ek bhī ham-safar nahīñ hai
kuufa ho damishq ho madīna
sādāt kā koī ghar nahīñ hai
vo, vo to nahīñ jo sāmne thā
merā hai, mirā magar nahīñ hai
is ahd kī shanāḳht Thahrī
sab kuchh hai magar nazar nahīñ hai
jiine kī talab nahīñ hai 'shohrat'
jiine se magar mafar nahīñ hai
Top Urdushayar.com