ham pī ga.e sab hile na ab tak
jī haar ga.e nujūm-e-shab tak
har chand ghaTā.eñ chhaT ga.ī haiñ
par dil pe ġhubār sā hai ab tak
ḳhush ho na zamāna mere ġham par
aa.egā ye daur-e-jām sab tak
ashkoñ ne fasāna kar diyā hai
vo lafz ki aa sakā na lab tak
har ġham ko uḌā diyā hañsī meñ
tum pesh-e-nazar rahe ho jab tak
mai-ḳhāne meñ sar chhupā.eñ aao
vā ho dar-e-ka.aba jaane kab tak
'shohrat' koī aur baat chheḌo
ulTeñ vo naqāb-e-lutf jab tak